11)    Untill I Die…

Itihaas ke panno se….
One of my early poems when I made unsuccessful attemps of writing in english… 😮

Whenever you are alone, Just think of me…
I will be in your joys, sorrows or in your dreams…
I’ll have my influence on you, No matter what you do…
Think of me before you proceed and surely you will succeed…
I am always with you though invisible,
For me to think of life without you is impossible…
Never say to me good bye…
For I will be with you “Untill I Die” …

10)    Happy B'day…

Itihaas ke panno se….
This one was for my cousin Atul…

These are the wishes for a boy,
May each moment of yours b filled with joy,
At every step you meet success,
And day by day you progress..
Till you have reached the heights
Where there are no nights and
light may fill your life,
So that forever you may smile..
Thats not all I wish for you
Instead have jotted a few…

Composed in 1995

9)    Maen sabko yaad Aaoon…

Itihaas ke panno se….

Hae mera ek sapna,Ki maen kuchh aisa karke jaaoon…
Uthne ke baad is duniya se, yaad sabko maen aaoon…
Jeena mera safal ho, zamane ko meri kadr ho…
Markar bhi kisi ke kaam aaoon aur maen sabko yaad aaoon.
Har dil per mera raj ho, har zuban per mera naam ho,
Sabka maen pyaar paaoon aur sabko maen yaad aaoon…
Saara jahan mera dost ho, na koi mera raqueeb ho,
Sabka abhinn ang main ban jaoon, Aur maen sabko yaad aaoon…

composed in 1998

8)    Kaise bataaoon tumhe …


Hi Friends,

This one, I have composed some time back exclusively for someone very special in my life.
It’s inspired of a poem from the movie ‘Wajood’. I liked it so much in the movie that I have taken a couple of lines straight from it.

Kaise bataaoon tumhe ki mere liye tum kaun ho…
Mere liye tum dhara ho, aasmaan ho
Zindagi ki har aarzoo ho aur har pal ka armaan ho,
Kaise bataaoon tumhe ki mere liye tum kaun ho…

Meri har khushi aur har ek gum main tum ho,
Aur mere andar jaati har ek shwaas main tum ho,
Tum meri zindagi main nahi,meri zindagi hi tum ho,
Ab Kaise bataaoon tumhe ki mere liye tum kaun ho…

Suraj ki kiran ho aur chandrama ki chandani ho,
Mere rachey har raag ki raagani ho,
koi aur nahi bas tum meri ardhaangani ho,
Kaise bataaoon tumhe ki mere liye tum kaun ho…

composed in 2004

7)    Kho kar tumko humne kya paaya hae

Kho kar tumko humne kya paaya hae,
Yeh is dil ko badi mushkil se samjhaaya hae.

Kho kar tumko humne kya paaya hae,
Yeh is dil ko badi mushkil se samjhaaya hae.
Ho aaaj tum door is nazar se, magar…
Dekha khudko jab aaiene main, tumko saath paaya hae.

Kho kar tumko humne kya paaya hae,
Yeh is dil ko badi mushkil se samjhaaya hae.

Socha tha samhal jayenge har thokar per hum,
Thokar jo lagi to sahara tera hi yaad aaya hae…
Kho kar tumko humne kya paaya hae,
Yeh is dil ko badi mushkil se samjhaaya hae.

Band aankh kar ke soch raha tha jab maen,
To chehra zehen main tera hi pehle aaya hae.
Kho kar tumko humne kya paaya hae,
Yeh is dil ko badi mushkil se samjhaaya hae.

Haen to youn mere kadr-daan duniya main bahut,
Socha jo maene hoon maen mureed1 kiska,
to zubaan per naam tera hi aaya hae….
Kho kar tumko humne kya paaya hae,
Yeh is dil ko badi mushkil se samjhaaya hae.

1–> Fan.

composed on 11-May-2006

6)    Hum tumhaare ho gaye

Zindagi ki daud main kyon hum-tum kahin kho gaye…
Jo lamhe, saath thhey guzaare woh ojhal1 kahin ho gaye…
Hae yaad mujhko aaj bhi, har pal-chhinn jo saath humne guzaare….
Baag main, bageeche main.. ya hon woh nadiya kinaare….
Thaa khwaabon ki duniyaan main ek aashna humaara…..
Aur thaa ek-doosre per, bepanah pyaar humaara…
Kyon aaj woh pyaar humaara, ateet ke sahaare ho gaya….
Kyon woh josh saara, aaj ek kinaare ho gaya….
Chale gaye ho jo ab tum, tanha yun hum ho gaye…..
Na hae ab koi hasrat2, sab maqsad3 bhi kahi kho gaye…
In aakhon se nikalte ashq4, ek baat bezabaani keh gaye…
Tum humaare ho na ho per hum tumhaare ho gaye…..
Tum humaare ho na ho per hum tumhaare ho gaye…..

1–> Gayab
2–> Desire
3–> Motive
4–> Tears

composed on 08-Feb-2006

5)    Prem

Kiya ek prashn maene dil se apne,
Bata-e-dil hote haen roop prem ke kitne?

Woh bola :-

Prem aradhna hae, prem sadhna hae,
Prem tyaag hae na ki kaamna hae.
Vishwaas prem ka duja naam hae,
Sabko khush rakhna iska kaam hae.

Prem josh maen hae, prem hosh maen hae,
Yeh rosh1 maen hae aur aakrosh maen hae.
Prem pana hae mushkil magar karna asaan hae,
Prem ek zindadil ki sachi pehchaan hae.

Prem na sirf pyaar hae, woh to ek pooja hae,
Uske siva na sach duniya main koi duja hae.
Yeh sab prem ke kuchh prakaar haen,
kam main kahooon :-
Is prem se hi sara sansaar hae…..

1 –> Light.

composed on 01-Jul-2002

4)    Akela

Chala ja raha tha akela kahin,
Anjaan rahon se guzarta kahin.
Na maloom thi ki manzil milegi kahan,
Bas yakin thha ki hogi yahin per kahin.

Chala tha Akela mile saathi magar,
Woh chhutte kahan haen mujhe na khabar,
Dekhta hoon jo peechhe mud kar kabhi,
To aata nahi ab koi nazar.
Jo dekhoon is veeraane main gaur se kabhi,
Aata hae nazar bahut door ek ghar,
Bitaaye thhey jahan kuch lamhe yuhin,
Chala jaa raha tha jab akela kahin,
Anjaan rahon se guzarta kahin.

Khada hoon aaj ek aise mod per,
lene haen jahan kuchh faisle magar,
Sochta hoon kahin aisa ho na jaye,
Jo haen saath yaadein kahin kho na jayein,
Haen yaadein yeh chand un saathiyon ki,
Mile thhey mujhe jo is safar main kahin,
Chala jaa raha tha jab akela kahin,
Anjaan rahon se guzarta kahin.

Karunga maen kya yeh maen nahi jaanta,
Bhool jaaoon maen unko yeh dil nahi maanta,
Thoda hi sahi saath diya to magar,
Hamesha yu tanha mujhe chhoda to nahi,
Chala jaa raha tha jab akela kahin,
Anjaan rahon se guzarta kahin.
Milenge is safar main aise log aur bhi,
Jo denge saath thoda aur kho jayenge kahin,
Hamein chhod kar phirse tanha yuhin,
Phir bhi chalta rahunga akela yuhin,
Anjaan rahon se guzarta kahin.

Hae umeed dil main bandhi aaj bhi,
Milegi mujhko meri manzil kahin,
Liye is umeed ko dil main abhi,
Chala jaa raha hoon akela kahin,
Anjaan rahon se guzarta kahin.

composed on 22-Aug-2000

3)    Woh dega kya Jawaab

Woh dega kya jawaab meri baat ka,
Usko hae nahi ehsaas mere jazbaat ka.
Ab aur baaki nahi hae meri zindagi,
Fakat kissa hae yeh chand lamhaat ka.
Woh dega kya jawaab meri baat ka……
Woh dega kya jawaab meri baat ka…..

Nahi hae dosh isme kisi ka koi,
Hae saara kasoor un halaat ka.
Woh dega kya jawaab meri baat ka,
Usko hae nahi ehsaas mere jazbaat ka.
Woh dega kya jawaab meri baat ka…

Muh mod kar diya hae usne mujhko ek tohfa,
Hae nahi koi saani mere paas is saugaat ka.
Woh dega kya jawaab meri baat ka,
Usko hae nahi ehsaas mere jazbaat ka.
Woh dega kya jawaab meri baat ka…

composed on 17-Mar-2001

2)    Yaad


Dhoondhti haen yeh nigahein unko is hujoom1 main,
Shab-o-roz2, unki ek chahat ke junoon main.

Kyon ho gaye alag, ya kyon juda ho gaye,
Zindagi ki is daud main kyon hum tanha ho gaye.

Aisa nahi ki tanha zindagi guzar na kar payenge,
Per saath tera apne se juda hum hamesha payenge.

Ek khalish3 hae aur kuchh bhi nahi is hijr4 main,
hae maujood tu aaj bhi mere har zikr main .
Bata Tu hi ki is dard ko kis tarah bhulaayenge,
kaise is dil ko Judai teri samjhayenge.

Na-jaane kyon ek aas5 hae aaj bhi is toote dil ko,
Hae aaj bhi apne milne ki khushi ka ehsaas is dil ko.

Apne rab ke saamne jab bhi sajda6 karta hoon,
Tu mile mujhe jaldi, ek ye hi dua karta hoon.

1–> Crowd.
2–> day and night.
3–> Pain.
4–> Judai/ Seperation.
5–> hope.
6–> prayer

composition Apr-2005