17)    Is do kaudi ki duniya main…

Is do kaudi ki duniya main kyon pyaar ki baatein karte ho,
khud mauka taakte rehte ho aur badnaam dilo ko karte ho….
Is do kaudi ki duniya main kyon ishq ki baatein karte ho….
Is do kaudi ki duniya main kyon pyaar ki baatein karte ho….

Kuchh woh bhi din thhey jab roz kahin, majnu laila laila karta thha,
Apni Soni se milne ko Mahivaal bhi nadiya taera karta tha,
Aaj, na Soni hae na Mahivaal hae, aur na Laila Majnu zinda haen,
Apne anjum1 main is akaal ko le kar kya hum thoda sharminda haen ???

Haen aankhein meri taras gayi per ek sachcha pyaar ne dekh saka,
Is rang badalti duniya main kyon ek sundar sa rang na dekh saka,
Hum jeevan main har pal kyon, har kshan2se sauda karte haen,
Saude achhey dekhe maene per ek achha rishta na dekh saka….
Haen aankhein meri taras gayi per ek sachcha pyaar ne dekh saka….

Is dauda-bhaagi ke jeevan main kyon Laila se Majnu nahi milta,
Itni shiddat se ki mehnat per har Mahival Soni se nahi milta,
Hum roz takraate hazaaro logon se, per manmeet kisi ko nahi milta,
Is dauda-bhaagi ke jeevan main kyon Laila se Majnu nahi milta….

Is do kaudi ki duniya main kyon pyaar ki baatein karte ho,
khud mauka taakte rehte ho aur badnaam dilo ko karte ho….
Is do kaudi ki duniya main kyon ishq ki baatein karte ho….
Is do kaudi ki duniya main kyon pyaar ki baatein karte ho….

1–> Society
2–> Moment

composed on 15-Jan-2008

2 Replies to “17)    Is do kaudi ki duniya main…”

Comments are closed.