Zindagi ki daud main kyon hum-tum kahin kho gaye…
Jo lamhe, saath thhey guzaare woh ojhal1 kahin ho gaye…
Hae yaad mujhko aaj bhi, har pal-chhinn jo saath humne guzaare….
Baag main, bageeche main.. ya hon woh nadiya kinaare….
Thaa khwaabon ki duniyaan main ek aashna humaara…..
Aur thaa ek-doosre per, bepanah pyaar humaara…
Kyon aaj woh pyaar humaara, ateet ke sahaare ho gaya….
Kyon woh josh saara, aaj ek kinaare ho gaya….
Chale gaye ho jo ab tum, tanha yun hum ho gaye…..
Na hae ab koi hasrat2, sab maqsad3 bhi kahi kho gaye…
In aakhon se nikalte ashq4, ek baat bezabaani keh gaye…
Tum humaare ho na ho per hum tumhaare ho gaye…..
Tum humaare ho na ho per hum tumhaare ho gaye…..
1–> Gayab
2–> Desire
3–> Motive
4–> Tears
composed on 08-Feb-2006
Wah Wah Wah!
Too good.
Div..
Tumne mera happy wala apne blog mein nahi dala ..put it ..it will be a good combination 🙂
Aparajita
DIv.. this one was good..:)
dil se