21) Desh Ke Veer Jawaan – English

Desh ke Veer Jawaano ko har kshan hum salaam karein,

Unke nek iraadon ko naman hoke pranaam karein.

Jinke kaaran dushman desh pe aankh uthaate darta hae,

Kyon unke Johar1 ka sareaam na hum Aitram2 karein .

Door haen wo apne ghar se to hum chaen ki roti khate haen,

Rakhi ke is mauke pe hum kyon na is baat ka khayal karein.

Ye azaadi hae bahut keemti, Ye azaadi hae bahut keemti,

Jinki wajeh se hae ye kayam, kyon na hum unko salaam karein.

Desh ke Veer Jawaano ko har kshan hum salaam karein,

1 –> Valor

2 –> Honor

20) Desh ke Veer Jawaan — Rakhi Special

Wrote this poem for our soldiers on this ocassion of Rakhi. I hope they find it worthy of their time. An english version of this is the next on the list.

देश के वीर जवानो को हर क्षण हम सलाम करे।
उनके नेक इरादों को नमन होके प्रणाम करें ।।
जिन्के कारण दुश्मन देश पे आँख उठाते डरता है।
क्यों उनके जौहर का हम सरेआम न ऐतराम करें ।।
दूर हैं वो अपने घर से तो हम चैन की रोटी खाते हैं।
राखी के मुबारक मौके पे क्यों न हम इस बात का ख्याल करें ।।
ये आज़ादी है बहुत कीमती , ये आज़ादी है बहुत कीमती ।
जिनकी वजह से है ये कायम , क्यों न हम उनको सलाम करें ।।