19) Tera Chala jaana

Wo dhalta din, ye chadhti shaam,
Har shaam yaad karaaye tera naam.

Ye guzarta waqt, wo bitey lamhe,
Har lamha jo kar jaaye badnaam.

Wo tasavvur mein tera chhup-chhup ke aana,
Aur yun muskura ke kahin bhaag jaana.

Haen taazi aaj bhi ye meethi si yaadein,
Wo alag baat hae socha kai baar bhulaana.

Magar bhoolun kaise jo thi ek haqueeqat,
Nahi bhool paata jab maen dil ka fasaana.
Nahi bhool pata tera muskuraana,
Aur nahi bhool sakta tera chala jaana..
Nahi bhool sakta, tera chaley jaana.

— Composed on 20th May 2014