12)    Hae mehfil mere ishq ki, bazaar nahi hae…

Hae mehfil mere ishq ki, bazaar nahi hae…
Hae charcha yeh ek aam koi asraar1 nahi hae,
Hae kabool nahi unko yeh mohabbat jo meri…
Shiqwa hae yeh unse koi ilzaam nahi hae…

Hae mehfil mere ishq ki koi bazaar nahi hae…
Hae charcha yeh ek aam koi asraar nahi hae….

Haen manzoor humko gham bhi, chahat main unki….
Yeh zindagi bhi isme ujaad2 nahi hae..
Hae mehfil mere ishq ki, bazaar nahi hae…
Hae charcha yeh ek aam koi asraar nahi hae….

Hae naseeb nahi qurbat3, youn to humko unki…
Kuchh faasley4 haen darmiyan5 koi kaal6 nahi hae…
Hae mehfil mere ishq ki, bazaar nahi hae…
Hae charcha yeh ek aam koi asraar nahi hae….

Haen nazarein unki quaasid7, sab bol deti haen…
Hae unko bhi mohabbat bas iqraar nahi hae…
Hae mehfil mere ishq ki, bazaar nahi hae…
Hae charcha yeh ek aam koi asraar nahi hae….

1–> secret
2–> ruined
3–> closeness
4–> distance
5–> in between
6–> death
7–> messenger

composed on 21-Nov-2006