Dhoondhti haen yeh nigahein unko is hujoom1 main,
Shab-o-roz2, unki ek chahat ke junoon main.
Kyon ho gaye alag, ya kyon juda ho gaye,
Zindagi ki is daud main kyon hum tanha ho gaye.
Aisa nahi ki tanha zindagi guzar na kar payenge,
Per saath tera apne se juda hum hamesha payenge.
Ek khalish3 hae aur kuchh bhi nahi is hijr4 main,
hae maujood tu aaj bhi mere har zikr main .
Bata Tu hi ki is dard ko kis tarah bhulaayenge,
kaise is dil ko Judai teri samjhayenge.
Na-jaane kyon ek aas5 hae aaj bhi is toote dil ko,
Hae aaj bhi apne milne ki khushi ka ehsaas is dil ko.
Apne rab ke saamne jab bhi sajda6 karta hoon,
Tu mile mujhe jaldi, ek ye hi dua karta hoon.
1–> Crowd.
2–> day and night.
3–> Pain.
4–> Judai/ Seperation.
5–> hope.
6–> prayer
composition Apr-2005